Friday 31 May, 2013

Mir ki ek behtareen ghazal


Mir Taqi Mir ki yeh ek behtareen ghazal hai jise Begum Akhtar ne bhi pesh kiya hain…. lekin jaise hota hain sab sher istemaal nahi kiye nahi unhone. Ho sakta hain ke kuch logon ne suni hogi, to yeh sab hazraat yahan mukhamal ghazal pa sakte hain. Jinehe yeh mauqa nahi mila ke “Mallika-e-Mausiqi” ko sune ya Mir ya Urdu shayri se ab tak mahroom rahe hain woh is se pehchan kar sakte hain…. gar woh chaahe.
Mir ke kalam mein ek maayusi paayi jaati hai…. jiski wajah woh tabaahi thi jo unhone apni zindagi mein dekhi thi. Main yahan tareekh mein nahi jaaunga lekin sirf is ghazal se hawaale yeh zikr kar raha tha…. is mein kuch sher mein maayusi ubhar kar aati hain aur kuch mein tanz-o-mizah ki jhalak hain.. Khair aap khud hi dekhen.
Ulto ho gayi sab tadbiren kuch na dawa ne kaam kiya
Dekha is beemar-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

Ahd-e-jawaani ro ro kaati peeri mein li ankhen mund
Yaani raat bahut the jaage subah hui aaraam kiya

Nahak hum majbooron par tohmat hain mukhtaari ki
Chahte hain so aap karen ham ko abas badnaam kiya

Saare rind aubash jahan ke tujh se sujood mein rahte hain
Banke terhe tirche teekhe sab ka tujhe Imaam kiya

Sarzad ham se adbi to vahshat mein bhi kam na hui
Koso uski or gaye par sajda har har gaam kiya

Kiska kaaba kaisa kibla kaun haram hai kya ahraam
Kuche ke uske bashindon ne sab ko yahi se salaam kiya

Yaan ke supaid-o-siyah mein ham ko dakhl jo hai so itna hai
Raat ko ro ro ke subha kiya ya ndin ko joon joon shaam kiya

Subhah-e-chaman mein usko kaahe taklif-e-hawa le aayi thi
Rukh se gul ko mol liya kamat se saari ghulaam kiya

Said-e-simi dono uske haath mein lekar chorh diya
Bhoole uske kaul-o-qasam par hai khayal-e-kaam kiya

Aise aah-o-ehraam-khurda ki vahshat khoni mushkil thi
Sihar kiya aijaz kiya, jin logon ne tujh ko raam kiya

‘Mir’ ke deen-o-mazaab ko ab puchhte kya ho un ne to
Qashqa khainche dair mein baithe kab ka tark islaam kiya..




No comments:

Post a Comment