Saturday 6 April, 2013

Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?


Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?

Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?

Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Wish Card. . !


Tu ne wish card bhej kar mujh ko
Yaad kitny dila diye mosam

Mery bahar badal diya manzer
Mery ander saja diye mosam

Farq baqi nahi rakha tu ne
Mosamo’n mein mila diye mosam

Sochta houn k apni furqat mein
Tu ne kaisy bana diye mosam

Bacho’n jesi thi teri zid jana’n
Tu ne yunhi ganwa diye mosam

Mom bati na thi k pal bhar mein
Phoonk mari aur bujha diye mosam. . !

Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay


Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay

Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay

Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay..


                                                                                   Faiz Ahmad Faiz