Thursday 28 March, 2013

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se


Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili


Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili

Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili..

Ahmad Faraz



Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!


Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Koi suhana iqrar kijiye,
O sharmaana kesa, ghabrana kesa,
Jeene se pehle mar jaana kesa,
Aanchlon ki chaaon mein,
Ras bhari fizaon mein,
Is zindagi ko gulzar kijiye,

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye,
Aati baharain, jaati baharain!
Kab se khari hain bandhey qatarain,
Chaa rahi hai bekhudi,
Keh rahi hai zindagi,
Jee ki umangain beidaar kijiye,

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Dil se bhula ke ruswaayion ko,
Jannat bana le tanhayion ko,
Aarzuu jawan hai,
Waqt meherbaan hai,
Dil ko na jane hosheyaar kihjiye,

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!

Sahir Ludhianvi 



(Bandhe Qatarain:Queue)(Umangain:Wishes)(Beidaar:Wake Up)(Ruswaayion:Insults)

Diya Khud Se Bujha Dena


Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena..

Mohsin Naqvi



Yaad Nhi


Koi Ehsas B Usko Yaad Nhi
Koi Baat B Usko Yaad Nhi

Ik Shakhs Ne Usko Chaha Tha
Wo Zaat B Usko Yaad Nhi

Jab Shab Ko Bijli Chamki Thi
Or Badal Toot K Barsa Tha

Hum Dono Jis Men Bheegay They
Wo Barsat B Usko Yaad Nhi

Wo Sahil, Dariya Phool, Hawa
Wo Wada Sath Nibhanay Ka

Or Shab Bhar Chand Ko Dekha Tha
Wo Raat B Usko Yaad Nhi

Main Kehta Tha Wo Sunti Thi
Wo Kehti Thi Main Sunta Tha

Itni Saari Baaton Men
Ik Baat B Usko Yaad Nhi