Sunday 24 March, 2013

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun


Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun
Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun
Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun
Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun..

Mohsin Naqvi

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum..


Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,

Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,

Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,

Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..

Wasi Shah



Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili


Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili

Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili..


Ahmad Faraz 


Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath


Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath

Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath

Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath

Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath

Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke SaTH..

Ahmad Faraz


Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia


Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia

“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia..


Ahmad Faraz 


Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay


Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay
Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay

Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay

Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay

Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi
Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay

Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal
Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay..


Parveen Shakir


Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye


Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye
Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye

Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab
Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye

Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai
Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye

Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein
Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye

Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay
Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye

Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham
Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye..


Parveen Shakir


Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath


Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath
Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ?

Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n
Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath

Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri
Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath

Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa
Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath

Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath..


Parveen Shakir


Shehr e Dil


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .


Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye


Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye
Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye

Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab
Teetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye

Mein Andheron Ko Ujaalon Aisay
Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye

Doush Per Baarishain Le Ke Ghoomain
Mein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye

Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke Chalay
Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye

Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu Ko
Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye

Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar Soye
Pairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye..


Parveen Shakir


Shehr e Dil


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .


Mirza Ghalib 


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise

“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise


Mirza Ghalib


Is liye murr ke dekhna bhi hai..


Is liye murr ke dekhna bhi hai,
Pairr sookha hai, haraa bhi hai,
Jo mere gham se ashnaa bhi hai,
Mujh mein ik shakhss dusra bhi hai,
Ab khuda janey shair hai ke sawaal,
Us ne kaghaz pe kuch likha bhi hai,
Sab ult phair hain muqaddar ke,
Warna woh shakhss to mera bhi hai,
Tu mere hadh-o-haal puchta hai,
Kya tere pass aayina bhi hai,
Yeh jo pairron main shor hai Aami,
Is se lagta hai kuch hawaa bhi hai..
Imran Aami

Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar..

Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,

Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,

Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,

Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,

Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon,
Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..

Sadaf Mirza