Saturday, 6 April 2013

Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?


Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?

Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?

Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Wish Card. . !


Tu ne wish card bhej kar mujh ko
Yaad kitny dila diye mosam

Mery bahar badal diya manzer
Mery ander saja diye mosam

Farq baqi nahi rakha tu ne
Mosamo’n mein mila diye mosam

Sochta houn k apni furqat mein
Tu ne kaisy bana diye mosam

Bacho’n jesi thi teri zid jana’n
Tu ne yunhi ganwa diye mosam

Mom bati na thi k pal bhar mein
Phoonk mari aur bujha diye mosam. . !

Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay


Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay

Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay

Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay..


                                                                                   Faiz Ahmad Faiz


Wednesday, 3 April 2013

सांवरे ..






तुम क्या हो मेरे लिए, लफ्ज़ों में कैसे कह दूँ
सांवरे .....................................
मेरी हर धड़कन, तेरी धड़कन के बाद आती है ♥♥ 


मकरध्वज शांडिल्य ''पराग''

Mohabbat phir mohabat hai?


Mohabbat phir mohabat hai?

Kabhi dil se nhi jaati,

Hazaron rang hain is k,

Ajab hi dhang hain is k,

Kabhi sehra, kabhi darya,

Kabhi jugnu, kabhi aansu,

Hazaron roop rakhti hai,

Badan jhulsa k jo rakh day,

Kabhi wo dhoop rakhti hai,

Kabhi ban ker ye ek jugnu,

Shab-e-gham k andheron mein,

Dilon ko aas deti hai,

Kabih manzil kinaarey per,

Piyasa maar deti hai,

Azziyat hi azziyat hai,

Magar ye bhi haqiqat hai,

Mohabat phir mohabat hai,

Kabhi dil se nhi jaati? ♥

Kuch Shayriyan

1.  Subah Kay ujaloon mien dil dhoondhta hy Tabeerien,

     Dil Ko kOun smjhayye Khuwaab Khuwaab HOtay hien !!


2. Dua to jane kaun si thi, Zehen mein nahin, Bas itna yaad hai,

    Ke do hatheliyan mili huyi thi,Jin mein ek meri thi,Aur ik tumhari ♥


3. Koi Aayat, Koi Jaadu, Koi Taveez Laa Do,,,,

   Mujhe Zindagi Bhar Uske sath Rehna jai..♥


4. Ho jayega haseen,aur bhi mera naam,

    Pukaar le gar mujhe woh ,ek baar hi sahi........♥



5.  Duniya tere wajud ko karti rahi talash 
      Hum ne Tere khayal ko duniya bana liya...



6. Hum ne maana k tagaful na karoge lekin .
Khaaq ho jayenge hum tum ko khabr hone Tak.

Tuesday, 2 April 2013

Na Ho Saka


Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka
Ye Kiya Sitam K Who Bhi Hamara Na Ho Saka

Ankhoon Na Jis K Wasta Sadiy“On Safar Kiya
Who Youn Mila K Us Ka Nazara Na Ho Saka

Main Na Har Ek Rukh Pay Nigahain Bikhair Din
Lakin Badal Koi Bhi Tumhara Na Ho Saka

Jo Rah-E-Guzar Ishq Main Pathar Banay Rahay
Un Sa Kisi Bhi Tor Kinara Na Ho Saka

Mujh Ko Kis Liya Shikwa Ho Gair Say
Khud Jub Main Apnay Dukh Ka Sahara Na Ho Saka ♥