Tuesday, 26 March 2013
YE HOLI
Kamaal karti hai ye HOLI..
Bawaal Karti hai ye HOLI..
Aati hai jab bhi ye HOLI.
Bada satati hai ye HOLI.
Aksar hasati hai ye HOLI.
Hamesha rulati hai ye HOLI.
Yaad teri dilati hai ye HOLI.
Bada tadpati hai ye HOLI..
Kabhi rangon se bara tera aanchal..
Kabhi gulaal se ata chehra tera..
Kabhi wo tera khilkhilana YASHU.
Yaad dilati hai ye HOLI..
Kambakhat bada pareshan karti hai ye HOLI..
Tei talab jagati hai ye ye HOLI..
Bada satati hai ye HOLI..
Ab jo tu nahi hai YASHU..
TO fir bhi besharmo ki tarah.
Har saal aa jati hai Ye HOLI..
Koi ab mujhe ye to bata de ab..
K bina Yashu k kyun aati hai ye HOLI.
आई होली है
आई होली है
आज फिर देखो यारो
आई होली है...
साथ मे आंखो मे मेरी
लाई फिर नमी है...
याद आई वो भीगी
होली २०११ की कालेज की..
जब तुम थी यशु♥
हम थे..और तेरी अदाओ के रन्ग थे..
पर देखो
२०१३ मे भी
कम्बखत ये होली वापस आई है
ना तुम हो
ना प्यार तुम्हारा है...अब
मगर सच कहु
तो होली ये जो आई है..
तुम्हारी यादो को
साथ लाई है...
और साथ मे लाई है ये
जो तुमने बख्शी है मुझे...वो तन्हाई है
देखो ना
यशु♥
ये होली फिर आई है..
मकरध्वज शांडिल्य...mds♥
Sunday, 24 March 2013
Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun
Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun
Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun
Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun..
Mohsin Naqvi
Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum..
Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..
Wasi Shah
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili..
Ahmad Faraz
Subscribe to:
Posts (Atom)
