Sunday, 24 March 2013

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye


Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye
Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye

Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab
Teetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye

Mein Andheron Ko Ujaalon Aisay
Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye

Doush Per Baarishain Le Ke Ghoomain
Mein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye

Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke Chalay
Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye

Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu Ko
Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye

Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar Soye
Pairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye..


Parveen Shakir


Shehr e Dil


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .


Mirza Ghalib 


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise

“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise


Mirza Ghalib


Is liye murr ke dekhna bhi hai..


Is liye murr ke dekhna bhi hai,
Pairr sookha hai, haraa bhi hai,
Jo mere gham se ashnaa bhi hai,
Mujh mein ik shakhss dusra bhi hai,
Ab khuda janey shair hai ke sawaal,
Us ne kaghaz pe kuch likha bhi hai,
Sab ult phair hain muqaddar ke,
Warna woh shakhss to mera bhi hai,
Tu mere hadh-o-haal puchta hai,
Kya tere pass aayina bhi hai,
Yeh jo pairron main shor hai Aami,
Is se lagta hai kuch hawaa bhi hai..
Imran Aami

Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar..

Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar,
Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar,

Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed,
Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar,

Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko,
Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar,

Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha,
Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar,

Sadaf! deen-e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon,
Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar..

Sadaf Mirza

Saturday, 23 March 2013

Usay Kehna


us simat chalay ho to itna usay kahna

koi aur na sunay tunha usay kahna

kuch log safer kay liye mozoon nahi hotay

kuch rastay kutatay nahi tunha usay kahna

zerkhaiz zaminain kabhi bunhjer nahi hoteen

derya hi badul laitay hain rusta usay kahna

wo meri dasters may nahi hai to ajub kia

husrat bi to hai ishaq ka lahja usay kahna

haan us nay kaha to yakeen may nay kia tha

umeed pay kayam hai yeh duniya usay kahna ♥



<3 mds<3

I Love You


I've fallen in love with you
and I'll never let you go
I love you more than anyone
I just had to let you know
And if you ever wonder why
I don't know what I'll say
But I'll never stop loving you
each and every day
My feelings for you will never change
Just know my feelings are true
Just remember one thing
I Love You ~♥~ •
mdš♥